SAWAL :
Islam ne Aurat ko parde aur chahar diwari me qaid kar diya hai aesa kaha jata hai to mein janna chahta hun ke Islam ne aurat ko gairon ke muqabale me kya maqam diya hai?
JAWAB :
حامدا و مصلیا مسلما
Is par kafi kitab aur mazaamin quran hadees aur tareekh-ithaas ki roshni me likhe gaye hai woh padhne chahiye.ahqar mukhtasar khulasa pesh karta hai ke islam se pehle kiya tha aur gairon ke yahan kiya hai? aur islam ne kiya diya.woh hasabe zail hai.
1. Aurton har koi buri nikah se dekhta hai aur use fasata hai us se zina-badkari hoti hai us par rap hota hai aurton ko parda naqab pehna kar mardon ki buri jagah,zina aur rap se mahfooz kiya hijab ka protection diya.iseeliye parde naqab wali aurat ke sath ye cheezen pesh nahi aati.
2.Aurton se ghar ke andar aur ghar ke baahar double kaam azadi ke naam par liya ja raha hai aur us ko har maidan me mardon ko khilona aur hawas puri karne ka naqad saaman bana diya hai Islam ne sirf ghar ke kaam ki zimmedari aurton par dali aur bahar ke tamam kaam ki zimmedari mard par dali bivi ka kharcha shohar par,beti ka bap par,maa ka awlad par aur bahan ka bhai par zarooree qarar diya. us ke liye aurat ki fitrat aur qudrati jism ki banwat aur mijaz ke aetibar se ghar ki chahar diwari me sukoon aur aaram se rani bankar rehne ko kaha.(media aur galat mahol ne ye mijaz badla us ka aetibar nahi) bahar ke kaam karaane ka order mardon ko dena ka haq diya aur koi mard na ho to parde ke sath zarooree kaam ke liye jane ki ijazat bhi dee.
3. Aurton ko maal saman ki tarah becha jata tha aur Meera's me taqseem kiya jata tha islam ne aazad aurat ko bechna khareedna haraam qarar diya.
4. Log das aur so se bhi zaid aurton ko nikah me ek sath rakhte the Islam ne char tak ki limit kar dee.aur ek se zaid aurton me insaf ko wajib-zaroori qarar diya.
5. Talaq aur rujooa-talaq wapas khenchne ki koi limit na thi aurat ko nikah se na azaad karte the na huqooq ada karte the islame ne talaq ki limit 3 kar dee us ke baad nahi rakh sakte aur rujooa-iddat me talaq wapas khichna sirf do baar kar diya.is baad haraam qarar diya.
6. Aurat ko paida hote hee zinda qabar me gaad-dafan kar dete the islam ne is par waeed - dhamki sunakar roka aur ladki paalne ke fazail-fayde sunkar ladkiyon ki muhabbat aur maqam paida kiya.
7. Aurat Jahan chahe shadi apni marzi se na kar sakti thi Islam ne use raay dena ka haq diya aur balig aurat ki razamandee-ijazat ke bagair nikah saheeh na hone ka qanoon banaya.
8. Bachpan me nikah kisi ne kar diya ho to balig hone ke baad us nikah ko zabani khatam karne ka ikhtiyar diya.
9. Do bibiya ek dusre ki aksar dushman jaisi ban jati hai isliye do sagi bahno ko nikah me rakhna haraam kiya.
10. Aurton ko Meeras-wiraasat me hissa nahi diya jata tha islam ne maan,beti bivi aur kuchh shart ke sath bahan tino haisiyat se hissa dilaya.
Aur bhi bahut kuchh diya hain lamba message padhne ka waqt aksar log nahi nikalte isliye ulama ke video bayan inshaallah bheje jayenge.
NOT: AAJ MIHLA DIN HAI NON MUSLIM TAK BHI YE MSG PAHONCHA KAR ISLAMI TALEEMAT KA TAARUF-PEHCHAN KARAYE.
و الله اعلم باالصواب
-Islam me aurton ka maqam wagairah kitabon se makhooz